ab KHana-ba-doshon ka pata hai na KHabar hai

ab khana-ba-doshon ka pata hai na khabar hai
koi hai nazar-band koi shahr-badar hai

phir fasl-e-bahaar aai parinde nahin aae
viran abhi tak mere aangan ka shajar hai

qamat hi mayassar hai use aur na chehra
ye kaun si makhluq hai kaisa ye nagar hai

main dhup uthae hue chup-chap khada hun
is dasht mein hasti meri manind-e-shajar hai

phir dekhna ye umr bhi badh jaegi kuchh roz
us shakhs ke laut aane ka imkan agar hai

jo shahr tha wo qarya-e-viran hai 'zulfi'
jo ghar tha kisi daur mein ab rahguzar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close