raushni karne aaya tha suraj sae dekhe to dhal gaya suraj parda jab bhi hataya khidki se mere kamre mein aa gaya suraj aa gae hum chhaton se kamron mein aur hamein dhundhta phira suraj chandni bhi udas lagti hai mujh ko viran kar gaya suraj raat ne baadban khol diya apna saman le gaya suraj sara din kan bajte rahte hain har kiran hai teri sada suraj ek main hi nahin hun duniya mein tera sab se hai rabta suraj koi diwar bhi nahin hail tera darbar hai khula suraj sans teri hai sab ke sinon mein sab tujhi se hai silsila suraj mera tera muqabla kaisa main to hun ghar ka ek diya suraj aaj ka din 'khalil' kya guzra aaj dil se utar gaya suraj