hasb-e-maqsud ho gaya hun main rakh ka dud ho gaya hun main ek kamre talak basirat hai kitna mahdud ho gaya hun main nam pahle barae-nam to tha ab to mafqud ho gaya hun main yun khinche muflisi mein sab rishte jaise mardud ho gaya hun main manfat bantta raha kal tak aaj be-sud ho gaya hun main shahr radd-o-qubul mein aa kar bud-o-nabud ho gaya hun main umr ki na-rasa masafat mein gard-alud ho gaya hun main huzn ki yas ki wadiat par ain masud ho gaya hun main bab-e-shahr-e-sukhan hua tha 'ali' nutq-e-masdud ho gaya hun main