ab khayalon ka jahan aur na aabaad karen khwab jo bhul chuke hain unhen bas yaad karen thapki de de ke sulane ki hai aadat dil ko ab kisi aur se kyun khud hi se fariyaad karen kitne mausam ke chhalawe se guzar kar pahunchi us dagar pe ki jahan log mujhe yaad karen hum bhi ab fikr-e-jahan chhod ke ji bhar hans len waqt itna bhi kahan hai jise barbaad karen zindagi yun hi munazzam rahe aisa bhi nahin hum nai tarz koi aur bhi ijad karen dene wale ki mashiyyat thi jo wahshat de di dil-e-viran jo mila hai use aabaad karen dil ke tute hue tukdon ko na joden 'shahin' dil pe jo guzri use bhul ke mat yaad karen