bahaar aai hai phir pairahan gulabi ho wo chand aae sar-e-anjuman gulabi ho siyah raat si chhai wo zulf chehre par jabin-e-naz gulabi badan gulabi ho khulen jo band-e-qaba raat jagmaga utthe mahakti sej shikan-dar-shikan gulabi ho hawa ki larzishen dahkatin aariz-o-lab ko haya ki mauj se sara badan gulabi ho wo hont chup hon to aankhon mein phul se jhamken hilen to sari faza-e-sukhan gulabi ho gulal is tarah barsae koi chaar taraf chaman gulabi hawa-e-chaman gulabi ho siyahi-e-shab-e-hijran siyah-tar na karo jo ho to chand ka mere gahan gulabi ho watan se dur bahaaron ko khojne wale jo in dinon mein zamin-e-watan gulabi ho