war har ek mere zakhm ka hamil aaya apni talwar ke main khud hi muqabil aaya baadbanon ne har ek samt badal kar dekhi koi manzar na nazar surat sahil aaya gard hone ne hi mahmez kiya mera safar mera rasta meri diwar mein hail aaya is fusun ki koi tauzih nahin ho pati is ke hathon main bhala kaise mera dil aaya dard se jod liya saz ne rishta apna aur phir soz pahan kar teri pael aaya ek takhrib tawatur se rahi dil mein mere ek tasalsul sa mere haal mein shamil aaya jis ka anjam hua us ki shuruat na thi rah par aa na saka jo sar-e-manzil aaya zinda rahne ke taqazon ne mujhe mar diya sar pe 'jawed' ajab ahd-e-masail aaya