ab kisi ko dekh kar ek samt mud jate hain hum jis se milna chahte hain us se katraate hain hum log tujh ko bewafa kahte hain in se kya gila rang-e-duniya dekh kar khamosh ho jate hain hum ye nami aankhon ki sine ki jalan jati nahin teri mahfil mein bhi tanhai se ghabraate hain hum mud ke dekha tha to sara shahar patthar ho gaya laut kar aae to har patthar se takraate hain hum kyun zamane bhar ki khushiyon se hai koi gham aziz aaine ke pas aao tum ko samjhate hain hum