thakan se dur har ek manzil-e-hayat rahe tera khayal safar mein jo sath sath rahe mita diya unhen khud waqt ke taqazon ne jo log waqt ke marhun-e-iltifat rahe har ek hadsa-e-zist se guzar jaen hamare hath mein jo zindagi ka hath rahe jo apni zat mein dariya bhi the samundar bhi lab-e-furaat wahi tishna-e-furaat rahe wo ajnabi ki tarah aaj hum se milte hain tamam umr jo 'khusraw' hamare sath rahe