sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti har kisi ko ye sahulat nahin di ja sakti sans lene ke liye sab ko mayassar hai hawa is se badh kar to riayat nahin di ja sakti tum ko ras aae na aae meri basti ki faza yan kisi jaan ki zamanat nahin di ja sakti ek muddat ke shab o roz lahu hote hain tasht mein rakh ke qayaadat nahin di ja sakti zist aur maut ka aakhir ye fasana kya hai umr kyun hasb-e-zarurat nahin di ja sakti in darichon se koi mauja-e-khush-kun aae rahat-e-jaan ye ijazat nahin di ja sakti soz-e-dil tohfa-e-qudrat hai wagarna 'uzma' barf ko narm hararat nahin di ja sakti