apna ghar bhi koi aaseb ka ghar lagta hai band darwaza jo khul jae to dar lagta hai baad muddat ke mulaqat hui hai us se farq itna hai ki ab ahl-e-nazar lagta hai is zamane mein bhi kuchh log hain fan ke ustad kaam koi bhi karen dast-e-hunar lagta hai jis ne ji chaha use lut ke pamal kiya apna dil bhi hamein dilli sa nagar lagta hai apni kuchh baat hai ahbab mein warna ai shams' sab dhuan hai wo jahan koi shajar lagta hai