meri nigah mein idrak ke siwa kya hai khuda-e-wahdahu laulak ke siwa kya hai ye nar-o-tin ki takrar na samajh iblis ye aag munh mein tere khak ke siwa kya hai bahisht hogi kabhi jab kabhi to hogi zamin is ek markaz-e-aflak ke siwa kya hai haqir hai ye jahan wusat-e-khayal adaq wajud bas khas-o-khashak ke siwa kya hai nidar nahin hun jo kahne pe nafs ke kahta yahan ye 'safwat'-e-bebak ke siwa kya hai