ab koi rah bhi aasan nahin dekhne mein dekhte rahte hain aur dhyan nahin dekhne mein kitni viran nazar aati hai ta-hadd-e-nazar yahi duniya ki jo viran nahin dekhne mein khali tanhai khazanon se bhari rahti hai aur yahan koi bhi saman nahin dekhne mein in dinon fursat-e-tabir kahan mumkin hai in dinon khwab bhi aasan nahin dekhne mein waise to hijr mein us ko bhi nahin koi malal waise to main bhi pareshan nahin dekhne mein sare kamron mein koi ret udati hai mujhe ye mera ghar ki bayaban nahin dekhne mein ek nazar su-e-malamat bhi agar dekha karen main samajhta hun ki nuqsan nahin dekhne mein us jagah bhi koi imkan nikal aata hai jis jagah koi bhi imkan nahin dekhne mein itna hairan raha hun to bana hun aisa main wo ek shakhs ki hairan nahin dekhne mein