jin khwahishon ko dekhti rahti thi khwab mein ab likh rahi hun un ko haqiqat ke bab mein ek jhil ke kinare parindon ke darmiyan suraj ko hote dekha tha tahlil aab mein khwabon pe ikhtiyar na yaadon pe zor hai kab zindagi guzari hai apne hisab mein ek hath us ka jal pe patwar ek mein aur dubta wajud mera sail-e-ab mein purwai chal ke aur bhi wahshat badha gai halki si aa gai thi kami iztirab mein aazad hain to bagh ka mausam hi aur hai khushbu hai tez rang bhi gahra gulab mein apni zamin ki aab-o-hawa ras hai mujhe mere liye kashish nahin koi sarab mein dekho junun mein un ke khilaune na todna tum ko raqam karenge ye bachche kitab mein