ab kya gila karen ki muqaddar mein kuchh na tha hum ghota-zan hue to samundar mein kuchh na tha diwana kar gai teri taswir ki kashish chuma jo pas ja ke to paikar mein kuchh na tha apne lahu ki aag hamein chatti rahi apne badan ka zahr tha saghar mein kuchh na tha dekha to sab hi lal-o-jawahar lage mujhe parkha jo doston ko to aksar mein kuchh na tha sab rang sail-e-tirgi-e-shab se dhal gae sab raushni ke aks the manzar mein kuchh na tha