aisi mushkil mein na jaan thi pahle zist kab itni garan thi pahle aasman tha na zamin thi koi kaenat ek dhuan thi pahle dhup bahrup pighalta sona chandni aab-e-rawan thi pahle ek makhsus samaat sab ki ek manus zaban thi pahle qatl ke kab the ye sare saman ek tir ek kaman thi pahle ye jo bijli si chamak jati hai sat pardon mein nihan thi pahle is jagah bank nahin hota tha ek kitabon ki dukan thi pahle kuchh to raste the sitaron aise kuchh tabiat bhi rawan thi pahle phul hi phul khila karte the mujh mein ye aag kahan thi pahle zakhm diwar batata hai 'munir' ek taswir yahan thi pahle