ajab bigde muqaddar ban gae hain jo dariya the samundar ban gae hain zamin se ud ke zarre aasman par mah-o-parwin-o-akhtar ban gae hain sar-e-lauh-e-tasawwur kaise kaise adhure naqsh paikar ban gae hain hamein bakhshi hai narmi mausamon ne magar kuchh log patthar ban gae hain mila hai yun hamein gham ka khazana hamare ashk gauhar ban gae hain shab-e-gham bhule-bisre chand chehre charagh-e-qalb-e-muztar ban gae hain unhen kya khauf ho 'shahid' khuda ka khuda jo is zamin par ban gae hain