ab kya ye hisab kitab rakkhen kis kis ne hamein barbaad kiya kis kis ne khushiyan din hum ko kis kis ne hamein nashad kiya ek aas thi so wo tut gai ek sans thi wo bhi chhut gai ab ye kahe ki hichki hai ab kaun hai jis ne yaad kiya wo ishq tha ya majburi thi ab tak ye muamma hal na hua har roz muafi ke badle ek taza sitam ijad kiya aasan nahin tha us ke bina par guzar gai jo guzarni thi wo dil jo kabhi ujada hi nahin tere gham ne jise aabaad kiya ye pyar-wyar ki baaten sab duniya jise sher samajhti hai sab us ki jafa ke qisse hain jis ne hamein laeq-e-dad kiya jab tum hi nahin hasil hum ko kya hasil duniya milne se beja ye khwahish-e-ishq rahi beja khud ko farhad kiya barbaad to hona tha aakhir ek din to kisi ke hathon se par naz karo 'abdul-qadir' ki us ne tumhein barbaad kiya