ab main khud ko aazmana chahti hun gham mein khul kar muskurana chahti hun ye tamasha bhi dikhana chahti hun aag pani mein lagana chahti hun hijraton ka bojh ab uthta nahin hai mustaqil koi thikana chahti hun dushmanon ka imtihan main le chuki hun doston ko aazmana chahti hun mujh ko 'zinat' sone deti hi nahin hain un ki yaadon ko bhulana chahti hun