ab marna hai apne khushi hai jine se be-zari hai ishq mein aise halke hue hain jaan badan ko bhaari hai shikwe ki charcha hoti hai chupke hi rahna behtar hai dil ko jalana dil-sozi hai ye gham-e-duniya gham-khwari hai kis ka wada kaun aata hai chain se sota hoga wo raat bahut aai hai ai dil ab nahaq bedari hai daw tha apna jab wo hum se chaupad sikhne aate the ab kuchh chaal nahin ban aati jit ke bazi haari hai lutte dekha ghash mein dekha marte bhi dekha us ne mujhe itna na puchha kaun hai ye is shakhs ko kya bimari hai hijr sitam hai kulfat-o-gham hai kis se kahiye haal apna din ko pade rahna munh dhanke raat ko girya-o-zari hai uttho kapde badlo chalo kya baithe ho 'bahr' udas udas sair ke din hain phul khile hain josh pe fasl-e-bahaari hai