jis dam tere kuche se hum aan nikalte hain har gam pe dahshat se be-jaan nikalte hain ye aan hai ai yaro ya nok hai barchhi ki ya sine se tiron ke paikan nikalte hain rindon ne kahin un ki khidmat main be-adabi ki jo shaikh ji majlis se sarsan nikalte hain ye tifl-e-sarishk apne aisa ho miyan bahken be-tarah ye ab ghar se nadan nikalte hain ye zid hai jinhen yaro aa jaen jo mashhad par to tham ke hathon se daman nikalte hain kis tarah ghubar un tak pahunchega bhala apna 'asif' jo kabhi ghar se khuban nikalte hain