dil ke bahlane ka saman na samjha jae mujh ko ab itna bhi aasan na samjha jae main bhi duniya ki tarah jine ka haq mangti hun is ko ghaddari ka elan na samjha jae ab to bete bhi chale jate hain ho kar rukhsat sirf beti ko hi mehman na samjha jae meri pahchan ko kafi hai agar meri shanakht mujh ko phir kyun meri pahchan na samjha jae main ne ye kab kaha 'ruhi' ki mere jiwan mein mere sain ko meri jaan na samjha jae