ab meri nigahon mein auj hai na pasti hai ek sail-e-mad-hoshi ek hujum-e-masti hai ai nigah-e-na-mahram ishq ki wo basti hai jis qadar ujadti hai us qadar hi basti hai aashiqi-o-mahbubi aaine ke do rukh hain husn ek baada hai ishq ek masti hai jazba-e-ibaadat ko rakh jaza se begana warna haq-parasti bhi ek hawas-parasti hai dil ki paemali ka gham to kuchh nahin lekin aisi pur-faza basti mushkilon se basti hai dida-war koi dekhe shan-e-pir-e-mai-khana is khudi ke chehre se be-khudi barasti hai himmaton ke bal uttho khud-rawi ke bal niklo laghzishon ke bal chalna nang-e-mai-parasti hai aadmi ke chehre par bandagi nahin rahti warna khud-parasti bhi ek khuda-parasti hai