bosida khadshat ka malba dur kahin dafnao jismon ki is shahr-e-panah mein taza shahr basao sare jism ka resha resha soch ki quwwat pae phir har sans ka hasil chahe sadiyon par phailao apna aap nahin hai sab kuchh apne aap se niklo badbuen phaila deta hai pani ka thahrao muddat se kyun chat rahe ho lafzon ki diwaren sine mein makhfi khakon ki wazeh shakl banao apna apna kafan utaren lashen udti jaen pyasi zaban nikale dharti chate apne ghao