ab mohabbat ka eatibar nahin faede ka ye karobar nahin aap apni to kuchh khabar lije main ne mana mujhe qarar nahin naz mujh ko nahin wafa par kuchh wo jafa par bhi sharmsar nahin ghuncha-o-gul bahaar khushbu rang kaun tum par hua nisar nahin apna mujrim samajhte wo mujh ko bakht itna bhi sazgar nahin jis ko apna samajhta hun ab tak us ke ghairon mein bhi shumar nahin puchh le kuchh 'nadim' ke ahwal wo to itna bhi waza-dar nahin