ab na bahal sakega dil ab na diye jalaiye ishq o hawas hain sab fareb aap se kya chhupaiye us ne kaha ki yaad hain rang tulu-e-ishq ke main ne kaha ki chhodiye ab unhen bhul jaiye kaise nafis the makan saf tha kitna aasman main ne kaha ki wo saman aaj kahan se laiye kuchh to suragh mil sake mausam-e-dard-e-hijr ka sang-e-jamal-e-yar par naqsh koi banaiye koi sharar nahin bacha pichhle baras ki rakh mein ham-nafasan-e-shola-khu aag nai jalaiye