koi hasrat bhi nahin koi tamanna bhi nahin dil wo aansu jo kisi aankh se chhalka bhi nahin ruth kar baith gai himmat-e-dushwar-pasand rah mein ab koi jalta hua sahra bhi nahin aage kuchh log hamein dekh ke hans dete the ab ye aalam hai koi dekhne wala bhi nahin dard wo aag ki bujhti nahin jalti bhi nahin yaad wo zakhm ki bharta nahin rista bhi nahin baadban khol ke baithe hain safinon wale par utarne ke liye halka sa jhonka bhi nahin