ab na wo hum hain na wo pyar ki surat teri

ab na wo hum hain na wo pyar ki surat teri
na wo haalat hai hamari na wo haalat teri

dekh li dekh li bas hum ne tabiat teri
ho na dushman ke bhi dushman ko mohabbat teri

kya gharaz us se ho dushman pe inayat teri
hum to jite hain faqat dekh ke surat teri

ye bhi aa jati hai jab dekh li surat teri
sach hai ulfat nahin munh dekhe ki ulfat teri

tark-e-ulfat hi nahin qat-e-talluq bhi kya
phir bhi jati nahin zalim ye mohabbat teri

dakhl hoga na kabhi jis mein gunahgaron ka
hogi ai waiz-e-kaj-fahm wo jannat teri

chahne walon ka hangama kisi din hoga
ek din tujh ko rulaega ye surat teri

ye tadap ye teri fariyaad ye hasrat ai dil
kash aa jae meri jaan pe aafat teri

pahle kuchh aur hi tewar the ye tewar tere
pahle kuchh aur hi surat thi ye surat teri

dekhne walon ki ek bhid raha karti thi
uf re wo husn tera hae wo surat teri

us pe hairat hai badi mujh ko tajjub hai bahut
ghair phir ghair ke dil mein ho mohabbat teri

aadmi ki tujhe pahchan nahin ai zalim
hum to karte hain tere munh pe shikayat teri

tujh ko dilbar jo banaya to banaya hum ne
warna malum hai duniya ko haqiqat teri

jaan de di na agar main ne to kuchh bhi na kiya
aap kahte hi rahen kya hai haqiqat teri

chain aata hi na tha tujh ko hasinon ke baghair
ai safi' kya hui agli wo tabiat teri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close