ab na wo shakh hai na patthar hai kab se jangal mein koi be-ghar hai koi saya nazar nahin aata jab se aankhon mein ek paikar hai han kabhi ghumti rahi hogi ab zamin be-niyaz-e-mehwar hai zahr pine koi nahin aata kitna be-tab ye samundar hai ruth kar chal diye nae rahi sar jhukae khada sanobar hai mud ke dekho to sang ho jao aur aage badho samundar hai apna shisha liye kahan jaun shahr ka shahr sara patthar hai