hath mein apne hifazat ka asa le jaana ghar se jaana to buzurgon ki dua le jaana baat jab tark-e-talluq hi pe aa pahunchi hai apne khat bhi mere kamre se utha le jaana jeb khali hai magar dil mein badi wusat hai tum mere ganw ke logon se wafa le jaana tere hathon mein hai patwar meri kashti ki tu jidhar chahe usi samt baha le jaana mujh se milne ke liye wo bhi tadapta hoga mere khwabo mujhe hathon pe utha le jaana pagdiyan roz uchhalti hon jahan par 'ejaz' hum ne sikha wahan izzat ko bacha le jaana