koi rahzan na musafir na shajar ki surat dekh is ujdi hui rahguzar ki surat jaane kab khana-badoshi ke ye din guzrenge muddaten ho gain dekhe hue ghar ki surat pahle dukh tha ki sar-e-rahguzar baithe hain ab koi ranj nahin ranj-e-safar ki surat apne hi aks se fursat nahin milti warna aaine mein hai kahin aaina-gar ki surat itne payab nahin hai ki har ek ko mil jaen hum to rahte hain samundar mein guhar ki surat aaj aankhon mein nami hai to ghanimat jaano qaht-e-girya mein kahan dida-e-tar ki surat beach raste mein hamein chhod ke jaane wale sath hon lenge tere gard-e-safar ki surat chashm-e-ibrat se 'farasat' mein use dekhta hun kal ye virana tha aabaad nagar ki surat