ghunche wahi hain gul wahi gulzar bhi wahi dast-e-junun sanbhalna ki hain khar bhi wahi hain intizar-e-sang mein asmar be-shumar aur inkisar se jhuke ashjar bhi wahi khush ho ke jhum leti hai aksar to zindagi lekin wufur-e-gham se hai bezar bhi wahi hai shahryar jis ko na ho zar ki ehtiyaj ahl-e-duwal ke shahr mein mukhtar bhi wahi mar mar ke ji raha hun tere bod-o-qurb mein inkar bhi wahi tera iqrar bhi wahi karta hai wo nasaeh sada amn ki magar sare jahan se barsar-e-paikar bhi wahi kya hai 'shakil' duniya ki us ki nigah mein jo sab ke kaam aata hai be-kar bhi wahi