tum us se duri bhi mat khwah-makhwah mein rakhna bas ehtiyat si ek rasm-o-rah mein rakhna tum apne rang nahao tum apni mauj udo magar hamari wafa bhi nigah mein rakhna qubul gar na kare wo to kya hamein sar-e-sham gulab mahfil-e-zill-e-ilah mein rakhna jo ras aai use masnad-e-shahi to suno shikasta chudiyan ab razm-gah mein rakhna bada azab hai mahmuda-'ghaziya' hijrat mere khuda mujhe apni panah mein rakhna