ab nibhani hi paDegi dosti jaisi bhi hai

ab nibhani hi padegi dosti jaisi bhi hai
aap jaise bhi hain niyyat aap ki jaisi bhi hai
khul chuki hain us ke ghar ki khidkiyan mere liye
rukh meri jaanib rahega be-rukhi jaisi bhi hai
chotiyan chhu kar guzarte hain baraste kyun nahin
baadalon ki ek surat aadmi jaisi bhi hai
ajnabi shahron mein tujh ko dhundhta hun jis tarah
ek gali har shahr mein teri gali jaisi bhi hai
aaj ke dukh hi bahut hain bim-e-farda kis liye
kat hi jaegi aziyyat ki ghadi jaisi bhi hai
dhundla dhundla hi sahi rasta dikhai to diya
aaj ka din hai ghanimat raushni jaisi bhi hai
jhulti hai mere dil mein ek shakh us ped ki
wo tar-o-taza hai ya sukhi hui jaisi bhi hai
main ne dekha hai falak ko jagte sote hue
meri aankhon tak to aai chandni jaisi bhi hai
ab kahan le jaen sanson ki sulagti aag ko
zindagi hai zindagi achchhi buri jaisi bhi hai
koi mausam ho meri khushbu rahe is phul mein
dastan meri kahi ya an-kahi jaisi bhi hai
apna haq 'shahzad' hum chhinenge mangenge nahin
rahm ki talib nahin be-chaargi jaisi bhi hai
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close