gham-e-hayat ki aakhir koi dawa bhi hai farar ka koi duniya mein rasta bhi hai hum uth to jaen teri bazm-e-naz se lekin tere baghair koi apna aasra bhi hai teri nigah mein thandak hai chandni ki si ye dil-fareb bhi hai aur dilruba bhi hai bahut sataya hua hun main jis sitamgar ka usi ka sham-o-sahar lab pa tazkira bhi hai kisi gharib ki sunta hai kab koi fariyaad gharib ko koi duniya mein puchhta bhi hai kisi ki madh-bhari nazron ke jam pita hai 'bahaar' rind bhi hai aur parsa bhi hai