sona chandi hi na lae ho na gauhar lae

sona chandi hi na lae ho na gauhar lae
ja ke tum chand se lae bhi to patthar lae

kaun sa kaam hai dushwar tasawwur ke liye
ye agar chahe to chullu mein samundar lae

waqt kya shai hai khudaya teri rahmat kya shai
log kahte hain ki har chiz muqaddar lae

aur kuchh bhi to nahin pas duaon ke siwa
hum tere waste jo bhi tha mayassar lae

ishq mein jaan ka dena bhi abas baaten hain
ishq mein tod ke koi bhi na akhtar lae

faede hum hi utha pae na rab to warna
apne bandon ke liye sainkadon awsar lae

pyar kuchh aur hi hai chiz itaat kuchh aur
jo mohabbat se mile wo na takabbur lae

yun to gun-gan tere hote hain ghar ghar lekin
koi ab ghar mein na bapu tere bandar lae

go tumhaari bhi ghazal umda hai 'parwaz' magar
aaj kuchh shoara ghazal tum se bhi behtar lae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close