ab sochta hun jaun to jaun kidhar ko main ai kash chhodta na teri rahguzar ko main dil gham ka aaina hai nazar dil ka aaina kaise chhupaun soz-e-nihan ke asar ko main aalam tamam ek fareb-e-nigah hai ab kya dikhaun chashm-e-haqiqat-nigar ko main madhoshiyon mein tut gaya dil ka aaina ab kaise munh dikhaunga aaina-gar ko main un ki nazar khuda na kare munfail ho 'kaif' dekhun na kash jazba-e-gham ke asar ko main