chal raha hai jo yahan tu baDe pindar ke sath

chal raha hai jo yahan tu bade pindar ke sath
sar na aa jae zamin par kahin dastar ke sath

jang ka faisla dushman ko mere karna hai
phul rakhta hun main ek hath mein talwar ke sath

ghar ki taqsim se hal koi nahin niklega
masale aur khade hote hain diwar ke sath

is liye khauf nahin madd-e-muqabil ka mujhe
jaan hatheli pe jo rakhta hun main inkar ke sath

marne wale kahani mein mujhe bhul gae
laut aaunga main phir se nae kirdar ke sath

ab meri fath ke aasar numayan hain bahut
ab sabhi dost mere mil gae aghyar ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close