chhupe hue hain sar-e-rah sau khatar khamosh chale chalo mere yaran-e-ham-safar khamosh faza-e-qarya tilism-e-sukut mein gum-sum siyah raat ke daman mein baam-o-dar khamosh hamare ba'd agar rustakhez ho bhi to kya bisat-e-waqt se hum to gae guzar khamosh ba-in nawazish-e-mausam shaguft-e-gul pe na ja zaban-e-haal se goya ba-chashm-e-tar khamosh jo arsh-e-jah sitara-shikar the un ko falak ki aankh ne dekha faganda-sar khamosh har ek daur mein gunji hai zarbat-e-farhad kabhi bhi rah na sake sahab-e-hunar khamosh zaban-daraaz 'ziyai' ko rokiye sahab ye maslahat ka taqaza hai al-hazar khamosh