ab sochta hun umr-e-do-roza se kya mila duniya ko kya diya mujhe duniya se kya mila jo kam-nigah the wahi ahl-e-nazar bane hum ko hamare dida-e-bina se kya mila dil ko diye hain zauq-e-tamanna ne sau fareb dil ko magar fareb-e-tamanna se kya mila irfan-e-shauq josh-e-junun zauq-e-bandagi un ki talab thi aur mujhe kya se kya mila dil hai ki rang-o-bu ke talatum mein gharq hai main kya kahun ki us gul-e-rana se kya mila wo mutmain hain ahd-e-rifaqat ko tod kar hum munfail ki wada-e-farda se kya mila daman mein aaj khar hain chhaale hain panw mein gulshan se kya mila mujhe sahra se kya mila mere surur-e-shauq ne be-khud kiya mujhe warna khumar baada-e-sahba se kya mila tab-e-nazar nahin sahi zauq-e-nazar to hai dil ko khabar se sai-e-tamasha se kya mila kya sham-e-arzu se 'mubarak' karen 'umid' hum ko hamari subh-e-tamanna se kya mila