ghazab hai muddai jo ho wahi phir muddaa Thahre

ghazab hai muddai jo ho wahi phir muddaa thahre
jo apna dushman-e-dil ho wahi dil ki dawa thahre

wo chahen jis qadar jaur-o-jafa hum par karen lekin
hamein taslim lazim hai ki paband-e-raza thahre

ye duniya ek sara hai is ko aakhir chhod jaana hai
agar do-chaar din aakar yahan thahre to kya thahre

kate hain sar bahut tegh-e-jafa se be-gunahi ke
ajab kya hai agar qatil ka kucha karbala thahre

idhar aane ko hain wo aur udhar waqt-e-safar aaya
ajab mushkil na wo aaen na dam-bhar ko qaza thahre

usi ko zindagi ka lutf hai is dahr-e-fani mein
ki jo nazdik achchhon ke bhala aur ba-khuda thahre

qiyam apna ho is mehnat-sara-e-dahr mein kyunkar
jahan aafat hi aafat ho wahan 'aram' kya thahre


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close