ab tak ilaj-e-ranjish-e-be-ja na kar sake ek umr mein bhi husn ko apna na kar sake thi ek rasm-e-ishq so hum ne bhi ki ada duniya mein koi kaam anokha na kar sake kal raat dil ke sath bujhe is tarah charagh yaadon ke silsile bhi ujala na kar sake ab is se kya gharaz hai ki anjam kya hua ye to nahin ki teri tamanna na kar sake khud ishq hi ko de gae ruswaiyon ke dagh wo raaz-e-husn hum jinhen ifsha na kar sake zauq-e-junun ko ras nahin tang bastiyan sahra na ho to kya koi diwana kar sake har imtiyaz us ke liye hech hai 'sahar' jo apni zindagi ko tamasha na kar sake