ab tak lahu ka zaiqa khanjar pe naqsh hai ye kis ka nam dast-e-sitam-gar pe naqsh hai barish bhi aaftab ka daman na dho saki kuchh gard ab bhi dhup ke shahpar pe naqsh hai tera hi aks raat ke aaine mein asir tera hi khwab nind ke bistar pe naqsh hai jis ko tere labon ka tasawwur na dho sake wo talkhi-e-hayat bhi saghar pe naqsh hai aangan se dastakon ki sada laut aaegi viraniyon ka nam har ek ghar pe naqsh hai pani ki ye lakir nahin hai jo mit sake shishe ki dastan to patthar pe naqsh hai jakda hua hai pichhle janam ke hisar mein mazi ka saneha dil-e-'akhtar' pe naqsh hai