apni tahzib ki diwar sambhaale hue hain mere bachche mera ghar-bar sambhaale hue hain tu ne kuchh bhi na diya hum ko aziyyat ke siwa zindagi hum tujhe bekar sambhaale hue hain koi aata nahin ab un ki qadam-bosi ko donon hathon se wo dastar sambhaale hue hain waqt se aage nikal jaenge jab chahenge dil-girafta abhi raftar sambhaale hue hain muflisi jhankti hai rauzan o dar se lekin hum larazti hui diwar sambhaale hue hain ye bhi ek turfa tamasha hai khuda-wand-e-jahan teri duniya ko gunahgar sambhaale hue hain faqa-masti mein bhi jite hain ba-aghaz-e-junun zindagi hum tera pindar sambhaale hue hain aabdida kabhi hone nahin dete 'akhtar' mujh ko ab tak mere gham-khwar sambhaale hue hain