wo sar se panw talak chahaton mein duba tha wo shakhs kya tha mohabbat ka istiara tha na chand tha na sitara na phul tha na dhanak wo phir bhi husn ki duniya mein ek izafa tha mujhe pata hi nahin kab wo lafz-e-kun ban kar mere wajud ke diwar-o-dar mein gunja tha ajib baat hai dekha na tha kisi ne use ajib baat hai ghar ghar usi ka charcha tha kisi se koi gharaz thi na koi aas us ko wo sari bhid se kat kar akela rahta tha samundaron se thi gahrai us ki sochon mein wo apni zat mein ek kaenat jita tha 'khumar' nam ke shair se mil chuka hun main udasiyon ke ghane jangalon mein rahta tha