ab tak the wabasta jo alfaz ke tanon-banon se apni qimat mang rahe hain be-qadre insanon se maujon ke qirtas pe dekho dast-e-qudrat ka aalam ek maqala likhta hai wo kitne hi unwanon se jab se hai sine ke andar har-su tari sannata wahshat hai na khauf raha hai is dil ko viranon se kitne hi khurshid agarche ummidon ke dub chuke ek diya rakkha hai raushan ladne ko tufanon se us ki yaadon se tum ab tak munh ko pher ke baithe ho aise kab rutha karte hain ghar aae mehmanon se us ne bhi halqe mein apne farzanon ko dhund liya hum ne bhi kar li hai sangat sahra mein diwanon se hum to patthar ki basti mein shishon ke rakhwale hain zakhmon ki tadad na puchho hum jaise na-danon se mitti mein dafna kar aise jhad rahe hain hath sabhi bojh utara hai rishton ka jaise apne shanon se rindon se ab maikhane ka puchho na ahwal 'shakil' rishta jab tum tod chuke ho saqi se paimanon se