ba-roz-e-hashr mere sath dil-lagi hi to hai ki jaise baat koi aap se chhupi hi to hai na chhedo baada-kasho mai-kade mein waiz ko bahak ke aa gaya bechaara aadmi hi to hai qusur ho gaya qadmon pe lot jaane ka bura na maniye sarkar be-khudi hi to hai riyaz-e-khuld ka itna badha chadha ke bayan ki jaise wo mere mahbub ki gali hi to hai yaqin mujhe bhi hai wo aaenge zarur magar wafa karegi kahan tak ki zindagi hi to hai mere baghair andhera nahin sataega sahar ko sham bana degi aashiqi hi to hai ba-chashm-e-nam teri dargah se gaya 'faruq' khata muaf ki ye banda-parwari hi to hai