ab tak to kami kuchh na hui dagh-e-jigar mein barson se charagh ek hi jalta raha ghar mein zahir mein hanse wo magar aansu nikal aae tha koi asar bhi mere marne ki khabar mein rang udne na dunga teri taswir ke rukh se baqi abhi kuchh khun ke khatre hain jigar mein tausi-e-khayalat ki had mil nahin sakti chhota sa bayaban nazar aa jata hai ghar mein ab badh nahin sakta gham-e-duniya ye khushi hai zakhmon ki jagah tak nahin baqi hai jigar mein in ankhdiyon ke surkh main dore nahin bhula ye bijliyan aisi hain jo ab tak hain nazar mein na-waqif-e-anjam ka dil hota hai kitna khud ro diya dekhe jo kabhi zakhm jigar mein us daur mein aap aae the ai hazrat-e-'jawed' jis ahd mein kuchh farq na tha aib-o-hunar mein