ab tak to sare gham se mere be-khabar mile batlaun haal-e-dil jo koi chaaragar mile lamhe husul-e-shauq ke bas is qadar mile bhatke hue ko rah mein jaise khizar mile un ke baghair kar na sake zindagi ba-khair ranj-o-alam ke sath to hum umr-bhar mile dil tha kahin laga kahin aankhen bichhi huin ye sare ehtimam teri rah par mile karna hai taza phir mujhe afsana tur ka ai kash meri un ki kahin par nazar mile guzre hain aql-o-hosh-o-khirad ki hudud se hum hon kahin to tum ko hamari khabar mile 'raazi' jhuke the husn-e-chaman par ki ek din shiraaze gul ke bikhre hue khak par mile