kar gaya mere dil-o-jaan ko moattar koi chhu ke is tarah se guzra mujhe aksar koi jitni nazren thin usi shakhs mein uljhi hui thin ja raha tha sar-e-bazar sambhal kar koi kaun sa hadisa guzra nahin us par is bar aur wo hai ki shikayat nahin lab par koi dil ko dil un ki nigahon ne banaya warna aisa be-dard tha dil jaise ki patthar koi chand taron pe nazar thahre to yun lagta hai tere jaisa hai pas-e-parda-e-manzar koi waqt thahra hua lagta tha sar-e-rahguzar is tarah dekh raha tha mujhe mud kar koi husn shirin mein bhi tha husn to azra mein bhi tha na hua mere trahdar ka ham-sar koi aaina apne muqaddar pe na kyun naz kare mud ke ek bar use dekhe jo sanwar kar koi kitne tufan chhupe hain tah-e-har-mauj 'bashir' aaj ka daur hai ya jaise samundar koi