ab tak to tha niyat pe ab shak hai liyaqat pe

ab tak to tha niyat pe ab shak hai liyaqat pe
kafi hai ye ek misra' qaid ki qayaadat pe

woton ke liye dange ab 'am riwayat hai
gar ye hai siyasat to la'nat hai siyasat pe

ye kath ki handi ko phir phir hain chadha lete
hairan hai jahan in ki is fan mein mahaarat pe

kya khub qawaid hain ye amn-bahaali ke
aazad hai nafrat aur pahre hain mohabbat pe

ghadiyal ke aansu ye kya khub bahate hain
dahqan ki ghurbat pe mazdur ki haalat pe

ye ahl-e-siyasat sab, bas un ke piyaade hain
qabiz hain jo kuchh kunbe kul mulk ki daulat pe

sadiyon ki ghulami ka shayad hai asar baqi
bajti hai yahan tali hakim ki himaqat pe

har fatwa-e-mufti mein tha dakhl-e-shah-e-dauran
kyon aaj uthate ho angusht adalat pe

sar sharm se jhukta hai afgar hai dil hota
hoti hai siyasat jab afsos shahadat pe

rahbar hai 'sada' kaun ab kuchh aas karen jis se
ek bhi to nahin chalta ab rah-e-sadaqat pe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close